Meri Yehi Andaaj Iss Zamane Ko Khalta Hai, Itna Peene Ke Baad Bhi Seedha Kaise Chalta Hai. 

Khwab Mein To Khwab Poore Ho Nahi Sakte Kabhi, IsLiye Raahe-Hakiqat Par Chala Karta Hoon Main. 

Dil Hai Kadmon Pe Kisi Ke Sar Jhuka Ho Ya Na Ho, Bandgi To Apni Fitrat Hai Khuda Ho Ya Na Ho. 

Bas Deewangi Ki Khatir Teri Gali Mein Aate Hain, Varna Aawargi Ke Liye To Saara Shahar Pada Hai.

Jaroorat Hai Mujhe Naye Nafrat Karne Walon Ki, Puraane Dushman To Ab Mujhe Chaahne Lage Hain. 

Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaaun, Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Ye Saadgi Meri. 

Humko Mita Sake Wo Zamane Mein Dum Nahi, Humse Zamana Khud Hai Zamane Se Hum Nahi. 

Ye Mat Samajh Ki Tere Kabil Nahi Hain Hum, Tadap Rahe Hain Wo Jinhein Haasil Nahi Hain Hum. 

Sooraj, Chaand Aur Sitare Mere Saath Mein Rahe, Jab Tak Tumhara Haath Mere Haath Mein Rahe, Shakhon Se Jo Toot Jaye Wo Patte Nahi Hain Hum, Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Main Rahe. 

ऐसे ही और ऐटिटूड स्टेटस पड़ने के लिए नीचे दबाये

ऐसे ही और ऐटिटूड स्टेटस पड़ने के लिए नीचे दबाये